MaSooM Studios: Salman Khan ki SaalGirah

Salman Khan ki SaalGirah

Aaj hai Bollywood ke super star Salman Khan ki salgirah! Iss saal Tiger Zinda hain keh lead actor hoye 52 saal ke aur unhun ne yeh birthday apni Panvel Farmhouse mein manai.

Birthday party pe Bollywood ke mashoor star maujood thay maslun Katrina Kaif. Salman Khan ne apni birthday party pe Katrina ke saath entry ki aur dono ne black kapray pehn rakhay thay.

 

Shahrukh Khan ko bhi party pe invite kiya tha magar woh apni family ke saath time spend karna chahtay thay. Magar Shahrukh Khan ne apni absence ko cover karnay ke liye Salman Khan ki birthday ke liye video wish bheji jis mein unhun ne birthday ka gaana bhi gaya. Unhun ne kaha keh woh Salman Khan ke saath un ki birthday month manayein gay.

Salman Khan ke duniya bhar mein fans hain aur un ki films ko bohot pasand kartay hain. Salman Khan ki nayi film Tiger Zinda hai cinemas mein jald aarahi hai.

0 comments here:

Copyright © 2013 MaSooM Studios